Open In Notepad


Open in Notepad
(Notepad me file Open karnay ka Tareeka)

Sab se pehlay notepad open karain.

Maine ap ko notepad open karnay kay 5 treeky batain hain.

In me se kissi treeky se bhi open kar lain.
Maine Run se Open kia hai. Ap kissi doosray treekay se open karny ki practice karain.

Jab Notepad open hojay to,
Ab aap open option ka istimaal
file me jaa k kar saktay hain
Is treeky se.

File -> Open

Ya shortcut bi istimal kar saktay hain.
Jo kay.

Ctrl + O

Hai.

Jesy hi aap open pe click karain ge, aik window zaahir ho jay gi. Yeh aik aise window ho gi jis me aap file ki location dikha saktay hain. Keh aap ki file kahan padi hai.



Ap is window me se paath select karain (us file ki jagah dikhain jahan pe wo file aap ne save ki thi. agar desktop pe ki thi to desktop show karawayin. agar D me save ki thi to D show karawayn gay. )

Yeh sab kch aap us window me uper diye gay drop down menu me kar saktay hain.


Path show karwany k baad, pehlay se save ki gai file pe click kar k Open pe click kar dain.

Ap ki file open ho jay gi.Open honay kay baad ap jo bhi karna chahain file me kar saktay hain. aur phir changing karnay kay baad save ya unsave hi chhor saktay hain.

Related Things you might see:

Share this :

Post a Comment

 
Support : Creating Website | Johny Template | Mas Template
Copyright © 2011. Just Full Versions - All Rights Reserved
Template Created by Creating Website Published by Mas Template
Proudly powered by Blogger